Showing posts with label Sad Poetry By Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Sad Poetry By Mohsin Naqvi. Show all posts

Tuesday, 21 July 2015

Sad Poetry By Mohsin Naqvi

Sad Poetry By Mohsin Naqvi

Kis ne sang-e khaamoshi pheinka bhare bazaar par,
Ek sukoot-e-marg* taari hai darr-o deewaar par.

Tune apne zulf ke saaye mein afsaane kahe,
Mujh ko zanjeeren mili hain jurrat-izhaar par.

Shaakh-e uriyaan par khila ek phool iss andaaz se,
Jis tarah taaza lahoo chamke nayi talwaar par.

Sangdil ahbaab ke daaman mein ruswaai ke phool,
Maine dekha hai naya manzar faraaz-e-daar* par.

Ab koi tohmat bhi wajah-e karb-e ruswaai nahi,
Zindagi ek umar se chup hai tere israar par.

Main sar-e maqtal hadees zindagi kehta raha,
Ungliyan uthti rahi ‘mohsin mere kirdaar par. !!


Sad Poetry By Mohsin Naqvi